Can't find what you are looking for ?
Google
 



Showing posts with label 1981. Show all posts
Showing posts with label 1981. Show all posts

Monday, September 14, 2009

Hindi Movie Song - Channa Zor Garam - Kranti (1981)



Chana Zor Garam (Kranti)



Lyrics of song Chana Zor Garam from movie Kranti:

Sung By Lata Mangeshkar, Kishore Kumar, Nitin Mukesh, Rafi
la : tum-tum taraara tum-tum taram
ki : tum-tum taraara tum-tum taram
la : tum-tum taram-taram
ki : tum-tum taram-taram
do : duniya ke hon laakh dharam par apana ek dharam
chana zor garam
la : chana zor garam baabu main laai mazedaar
chana zor garam
ki : chana zor garam baabu main laaya mazedaar
chana zor garam

la : mera chana bana hai aala jisamein daala garam-masaala
isako khaayega dilavaala chana zor garam
ki : mera chana kha gaya goraa-gora
kha ke ban gaya tagada ghoda
maine pakad ke use maroda
maar ke tangadi usako toda
chana zor garam
chana zor garam baabu ...

la : mere chane ki aankh sharaabee-sharaabi chane ki aankh sharaabi
ho isake dekho gaal gulaabee-gulaabi dekho gaal gulaabi
ki : ho isaka koi nahi javaabi jaise koi kudi panjaabi
do : naache chhanan-chhanan -2
la : kothe chadh ke tainu pukaaraan sun le mere balam
chana zor garam baabu ...

ni : mera chana kha gae gore-gore
mera chana kha gae gore o gore
jo ginati mein the thode
o phir bhi maaren hamako kode
Find More lyrics at www.sweetslyrics.com
la : tum-tum taram-taram
ni : laakhon kode toote phir bhi toota na dam-kham
chana zor garam
chana zor garam baabu ...

ra : o mera chana hai apani marzi ka
ni : marzi ka bhai marzi ka
ra : mera chana hai apani marzi ka
ni : marzi ka bhai marzi ka
ra : ye dushman hai kudagarzi ka
kudagarzi ka
ni : kudagarzi ka
ra : sar qafan baandh kar nikala hai deevaana hai ye pagala hai
mera chana hai apani marzi ka
ni : marzi ka bhai marzi ka
apanon se naata jodega gairon ke sar ko phodega
apana ye vachan nibhaayega maati ka karz chukaayega

ra : mit jaane ko mit jaayega aazaad vatan ko karaayega
la : na to chori hai na to daaka hai bas ye to ek dhamaaka hai
ni : dhamaake mein aavaaz bhi hai
la : ik soz bhi hai ik saaz bhi hai
ki : samajho to ye baat saaf bhi hai
la : aur na samajho to raaz bhi hai
ra ni : apani dharati apana hai gagan ye mera hai mera hai vatan -2
is par jo aankh uthaayega zinda dafanaaya jaayega
ra : mera chana hai apani marzi ka
cho : marzi ka bhai marzi ka
ra : ye dushman hai kudagarzi ka
cho : kudagarzi ka kudagarzi ka

Movie Information:

Movie Name: Kranti
Released (year): 1981
Produced by: Manoj Kumar
Directed by: Manoj Kumar
Written by: Javed Akhtar, Salim Khan, Manoj Kumar
Music Director: Laxmikant-Pyarelal
Lyrics by: Santosh Anand
Singer: Mahendra Kapoor
Cast: Dilip Kumar, Manoj Kumar, Hema Malini, Shashi Kapoor, Shatrughan Sinha, Parveen Babi, Sarika, Prem Chopra

Hindi Movie Song - Ab Ke Baras - Kranti (1981)



Ab Ke Baras (link)



Lyrics of song Ab Ke Baras from Kranti (1981)

Ab ke baras
ab ke baras tujhe dharti ki rani kar denge
ab ke baras
ab ke baras tujhe dharti ki rani kar denge
ab ke baras
ab ke baras teri pyaason me paani bhar denge
ab ke baras teri chunar ko dhaani kar denge
ab ke baras
ye duniya to faani hai ho behta sa paani hai ho
tere hawaale ye zindgaani ye zindgaani kar denge
ab ke baras
ab ke baras tujhe dharti ki rani kar denge
ab ke baras

duniya ki saari daulat se izzat hum ko pyaari
mutthi me kismat hai apni hum ko mehnat pyaari
mitti ki keemat ka jag mein koi ratan nahi hai
zillat ke jeevan se badtar koi kafan nahi hai
desh ka har deewana apne pran cheer kar bola
balidaano ke khoon se apna rang lo basanti chola
ab ke humne jaani hai ho
apne mann mein thaani hai ho
hamlaawaro ki khatam kahani
khatam kahani kar denge
ab ke baras
ab ke baras tujhe dharti ki rani kar denge
ab ke baras

sukh sapno ke saath hazaaron dukh bhi tu ne jhele
hasi khushi se bheege phaagun ab tak kabhi na khele
chaaron or hamaare bikhre baroodi afsaane
jalti jaati shama jalte jaate hain parwaane
phir bhi hum zinda hain apne balidaano ke bal par
har shaheed farmaan de gaya seema par jal jal kar
yaaron toot bhale hi jaana lekin kabhi na jhukna
kadam kadam par maut milegi lekin phir bhi kabhi na rukna
bahut seh liya ab na sahenge seene bhadak uthe hai
nas nas mein bijli jagi hai baazoo fadak uthe hain
singhaasan ki khayi karo zulmo ke thekedaaron
desh ke bete jaag uthe tum apni maut nihaaro
angaaro ka jashan banega har shola jaagega
balidano ki is dharti se har dushman bhaagega
humne kasam nibhani hai deni har qurbani hai
humne kasam nibhaani hai deni har qurbani hai
apne saron ki
apne saron ki antim nishaani bhar denge
ab ke baras
ab ke baras

Movie Information:

Movie Name: Kranti
Released (year): 1981
Produced by: Manoj Kumar
Directed by: Manoj Kumar
Written by: Javed Akhtar, Salim Khan, Manoj Kumar
Music Director: Laxmikant-Pyarelal
Lyrics by: Santosh Anand
Singer: Mahendra Kapoor
Cast: Dilip Kumar, Manoj Kumar, Hema Malini, Shashi Kapoor, Shatrughan Sinha, Parveen Babi, Sarika, Prem Chopra

Saturday, July 4, 2009

Yaarana - Tere jaisa yaar Kahan



Lyrics:
Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Meri zindagi sawaari
Mujhko gale lagake
Baitha diya falak pe
Mujhe khaat se oothake

Meri zindagi sawaari
Mujhko gale lagake
Baitha diya falak pe
Mujhe khaat se oothake
Yaara teri yaari ko
Maine to khuda mana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Mere dil ki yeh dua hai
Kabhi door tu na jaaye
Tere bina ho jeena
Woh din kabhi na aaye

Mere dil ki yeh dua hai
Kabhi door tu na jaaye
Tere bina ho jeena
Woh din kabhi na aaye
Tere sung jeena yahan
Tere sung mar jaana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Movie:
Yaarana - 1981
Sung by: Kishore Kumar
Actors: Amitabh Bachchan, Neetu Singh
Director: Rakesh Kumar
Music Director: Rajesh Roshan
Lyrics: Anjaan

Hindi Movie Song - Yaarana - Sara Zamana Hasino Ka Diwana



Lyrics for the song:

Hey sara zamana (sara zamana) Hasinon ka deewana (hasinon ka deewana) Zamana kahe phir kyon
(zamana kahe phir kyon) Bura hai dil lagana (bura hai dil lagana) Hey sara zamana (sara
zamana) Hasinon ka deewana (hasinon ka deewana) Zamana kahe phir kyon (zamana kahe phir
kyon) Bura hai dil lagana (bura hai dil lagana) Hey sara zamana (hey) Yeh kaun keh raha
hai Tu aaj pyaar kar le Jo kabhi bhi kathma na ho Woh ietbaar kar le (Yeh kaun keh raha
hai Tu aaj pyaar kar le Jo kabhi bhi kathma na ho Woh ietbaar kar le) Maan le, maan le meri
baat (meri baat) Sara zamana (sara zamana) Hasinon ka deewana (hasinon ka deewana) Zamana kahe
phir kyon (zamana kahe phir kyon) Bura hai dil lagana (bura hai dil lagana) Hey sara zamana
Jab husn hi nahi to Duniya mein kya kashish hai Dil, dil wahi hai jisme Kahin pyaar ki
khalish hai (Jab husn hi nahi to Duniya mein kya kashish hai Dil, dil wahi hai jisme Kahin
pyaar ki khalish hai) Maan le, maan le meri baat (meri baat) Hey sara zamana (sara
zamana) Hasinon ka deewana (hasinon ka deewana) Zamana kahe phir kyon (zamana kahe phir
kyon) Bura hai dil lagana (bura hai dil lagana) Hey sara zamana (sara zamana) Hasinon ka
deewana Zamana kahe phir kyon (zamana kahe phir kyon) Bura hai dil lagana Lal la lala la (lal
la lala la) Lala lala la la (lala lala la la) (Lala lala la la) (Lala lala la la) Sara zamana

Movie:
Yaarana - 1981
Sung by: Kishore Kumar
Actors: Amitabh Bachchan, Neetu Singh
Director: Rakesh Kumar
Music Director: Rajesh Roshan

Hindi Movie Song: Yaarana - Chookar Mere Man Ko



Lyrics:
Chhookar Mere Man Ko
Kiya Tuney Kya Ishara
Badla Yeh Mausam
Lagey Pyaara Jag Saara
Chhookar Mere Man Ko
Kiya Tuney Kya Ishara

Tu Jo Kahe Jeevan Bhar
Tere Liye Main Gaaoon (2)
Geet Tere Bolon Pe
Likhta Chala Jaaoon (2)

Mere Geeton Mein
Tujhe Dhoonde Jag Saara

Chhookar Mere Man Ko
Kiya Tuney Kya Ishara

Aaja Tera Aanchal Yeh
Pyaar Se Main Bhar Doon (2)
Khushiyan Jahan Bhar Ki
Tujhpe Nazar Kar Doon (2)

Tu Hi Mera Jeevan
Tu Hi Jeene Ka Sahara

Chhookar Mere Man Ko
Kiya Tuney Kya Ishara

Movie:
Yaarana - 1981
Sung by: Kishore Kumar
Actors: Amitabh Bachchan, Neetu Singh
Director: Rakesh Kumar
Music Director: Rajesh Roshan
Lyrics: Anjaan